Archive for the Category »Urdu Poetry SMS «

Na pholon main na kitaboon main

Na phoolon me na kitabon me,
Mene daikha usko nazaaron me,
Bheegi bheegi zulfein uski,
Aaeen raat ko khuwabon me;
Na khayalon me na khmaar me,
mahsoos kia usey tanhai me;
Meri muhabat bhi kuch ajeeb he,
Mene khoya usko mazak me

Woh saahilon pe gaanay valey kya huey

Woh Saahilon Pe Gaaney Valey Kya Huey
Woh Kashtiyan Jalaney Valey Kya Huey

Woh Subah Aatey Aatey Reh Gai Kahan,
Jo Qaafiley They Aane Vale Kya Huey

Mai Jin Ki Raah Dekhta Hun Raat Bhar
Woh Roshni Dikhane Valey Kya Huey

Ye Kaun Log Hain Mere Idhar Udhar
Woh Dosti Nibhane Valey Kya Hue

Imaraten Tou Jal K Raakh Ho Gaen
Imaraten Banane Valey Kya Hue

Ye Ap Ham Tou Bojh Hain Zamin Ka
Zamen Ka Bojh Uthane Vale Kya Hue

Mana yeh waqt

Mana yeh waqt hamey yaad karney wala nahi,
par bewaqt hee yaad kar liya karo,
mana apke aas pas saari duniya hai,
kabhi hamari kami ka bhi ehsas kar liya karo

Chandni raat mein jab sara jahan

Chandni raat mein jab sara jahan sota hai kisi ki
yaad main koi badnaseeb rota hai,
khuda kisi ko pyar pe fida na karey aur kare tou juda
na karey

Rab se aapki khushi mangtay hain

Rab sey apki khushi mangtey hain,
duayon me aapki hansi mangte hain,
sochte hain kya mangein aapse chalo aapki umar bhar ki
dosti mangte hain

Anjaanay mei hum apna dil gawa baithay

Anjaanay mei hum apna dil gawa baithey is pyar mei kaisa
dhoka kar baithey
unse kya gila karey bhool hamari hee hai jo bina dil
walon se dil laga baithey

Tujse dosti karne ka hisab na aya

Tujse dosti karne ka hisab na aya,
mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
hum tou jagte rahey tere hee khayalo me,
aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya

Fiza par asar hawaon ka hota hai

Fiza par asar hawaon ka hota hai…
mohabbat par asar adaon ka hota hai…
koi aisa ee kisi ka diwana nahi hota…
kuch kasoor tou nigahon ka hota hai…

Toofan Sms

Lamha Lamha waqt guzar jaega

Rooh ka jism se rishta toot jaega

Abi waqt hae do 4 sms kar do

Kal ka kya pata kis ka

kb

Mobile pani main beh jayega

HAPPY TOOFAN :-)

Tum jab bhi milo

Tum jab bhi milo toe nazrain utha kar mila karo..
Mujhay pasand hai tumhari ankhon main dosti ka aks dekhna….!